Nazdeekiyaan (Shaandaar) | Lyrics in Hindi and English

Nazdeekiyaan

Song: Nazdeekiyaan
Movie: Shaandaar
Genre: Indian Film pop
Year: 2015
By: Neeti Mohan and Nikhil Paul George


Watch Video



English Lyrics

Raaton ke jaage subah mile hain
Resham ke dhaage yeh silsile hain
Laazmi si lagne lagi hai
Do dilon ki ab nazdeekiyaan


Hmm dikhti nahi par ho rahi hain nazdeekiyan
Do dil hi jaane lagti hain kitni mehfooz nazdeekiyan


Zariya hain ye aankhein zariya
Chhalakta hai jinse ek armaano ka dariya
Aadatein hain inki puraani
Ankahi si keh de kahaani
Parchaaiyaan do judne lagi hain
Dekho hawa mein udne lagi hain
Pankh jaisi lagne lagi hain
Do dilon ki ab nazdeekiyan.

Hindi Lyrics

रातों के जागे सुबह मिले हैं
रेशम के धागे यह सिलसिले हैं
लाज़मी सी लगने लगी है
दो दिलों की अब नज़दीकियाँ

हम्म दिखती नहीं पर हो रही हैं नज़दीकियां
दो दिल ही जाने लगती हैं कितनी महफूज़ नज़दीकियां

जरिया हैं ये आँखें जरिया
छलकता है जिनसे एक अरमानो का दरिया
आदतें हैं इनकी पुरानी
अनकही सी केह दे कहानी
परछाइयां दो जुड़ने लगी हैं
देखो हवा में उड़ने लगी हैं
पंख जैसी लगने लगी हैं
दो दिलों की अब नज़दीकियाँ.

0 Comments