Tumhi Dekho Naa (Kabhi Alvida Naa Kehna) | Lyrics in Hindi and English

Tumhi Dekho Naa

Song: Tumhi Dekho Naa
Movie: Kabhi Alvida Naa Kehna
Genre: Indian Film pop
Year: 2006
By: Alka Yagnik and Sonu Nigam


Watch Video



English Lyrics

Tumhi dekho naa yeh kya ho gaya
Tumhara hoon main aur tum meri
Main hairaan hoon tumhen kya kahu
Ke din mein hui kaisi chaandani
Jaagi jaagi si hai phir bhi khwaabon mein hai
Khoyi khoyi zindagi
Tumhi dekho na yeh kya ho gaya
Tumhara hoon main aur tum meri


Behke behke se mann
Mehke mehke se tann
Ujli ujli fizzaon mein hai
Aaj ham hai jahaan
Kitni ranginiyan
Chhalki chhalki nigaahon mein hai
Neeli neeli ghataaon se hai chhan rahi
Halki halki roshni
Tumhi dekho na yeh kya ho gaya
Tumhara hoon main aur tum meri
Main hairaan hoon tumhen kya kahu
Ke din mein hui kaisi chaandani


Main toh anjaan thi yun bhi hoga kabhi
Pyar barsega yun toot ke
Sach yeh ikraar hai sach yahi pyar hai
Baaki bandhan hai sab jhuth ke
Meri saanson mein hai ghul rahi pyar ki
Dheemi dheemi raagini
Tumhi dekho naa yeh kya ho gaya
Tumhara hoon main aur tum meri
Main hairaan hoon tumhen kya kahu
Ke din mein hui kaisi chaandani
Jaagi jaagi si hai phir bhi khwaabon mein hai
Khoyi khoyi zindagi
Tumhi dekho naa yeh kya ho gaya
Tumhara hoon main aur tum meri
Yeh din mein hui kaisi chaandani

Hindi Lyrics

तुम्हीं देखो ना, ये क्या हो गया
तुम्हारा हूँ मैं और तुम मेरी
मैं हैरान हूँ, तुम्हें क्या कहूँ
के दिन में हुई कैसे चाँदनी
जागी जागी सी है, फिर भी ख़्वाबों में है
खोई-खोई ज़िन्दगी
तुम्हीं देखो ना...

बहके-बहके से मन
महके-महके से तन
उजली-उजली फिज़ाओं में है
आज हम हैं जहाँ
कितनी रंगीनियाँ
छलकी-छलकी निगाहों में है
नीली-नीली घटाओं से है छन रही
हल्की हल्की रौशनी
तुम्हीं देखो ना...

मैं तो अंजान थी, यूँ भी होगा कभी
प्यार बरसेगा यूँ टूट के
सच ये इकरार है, सच यही प्यार है
बाकी बंधन है सब झूठ के
मेरी साँसों में है, घुल रही प्यार की
धीमी-धीमी रागिनी
तुम्हीं देखो ना...

0 Comments